Tuesday, September 27, 2011

Ek Tukda

ek tukda jab-num-hota-hun, panno-ko bhigo-deta hun kyun.
Jab bhi sookhi si lagti mitti, saaya tera kho deta hun kyun.

Dil kapata hai kuch ese, kar chori kuch rakha hua hai.
Jab tujh ko hi arpan sab-ab, fir cheezon se darta hun kyun.

Fir-pal-har-pal yad yahi hai, tune mujhko seencha ese.
Ab-jo bhitar aag lagi hai, to jalne se sehma hun kyun.

Us pal jab main uchal rha tha, tumne mujhko thaam rakha tha.
ab jab khud main ud sakta hun, to girne se Darta hun kyun.

Jab bhi sookhi si lagti mitti, saaya tera kho deta hun kyun.

Monday, September 26, 2011

Kuch Alfaaz...Janm-Divas pe khaas !!


Janm divas k shub avsar par,
Kuch Khwaishen esi bhi hai,
Nimn-Likhit poori ho jaaen,
Khwaishen fir jesi bhi hai :D

Soorya uday k pehle jo,
Divas mera shuru ho jae,
Mata Pita ki Bhakti se,
Naya varsh shuru ho jae :)

Bivi bhi peeche na rahe,
apna prem dikhane main,
Tohfa leke aae chupke se,
aur present kare isare main ;-)

PraSaran jab shuru ho jaae
mera, Internet pe Google se...
Samaksh dikhne lage sabhi ko,
"Akshat Tambe's 30th Birthday"
Google-Doodle pe. B-)

Mitra badhaiyaan de sabhi,
Pratyaksh, sms ya call se.
Kuch bhi na miss karun main, vese
Bd'Bumps nai mile kuch saal se :P

Esi hi kuch aur bhi hai,
Baaten chupi mere man main...
Ab auur kitni tumhe sunae,
Hazaron khwaishen ek din main :)